Ye ek sachi kahani hai - read must
ek chhota bachha jo ki umar me 6 ya 7 saal ka hoga, ek dukan ke samne khada tha. Usne dukan dar se kuch kaha our dukan dar ne use mana kar diya. Fir wo ladka dukan se thodi dur khada hoke kabhi apni pocket me hath marta our kabhi dukan me rakhi ek gudiya ( doll ) ko dekhta. Ye silsila karib 15 minute chala . Dur khade ek admi bahut der se us bache ko dekh raha tha. Usne socha kya manjra hai jara pata lagaun jaise hi admi age badha , ladka dukandar ke paas ja ke bola mere paas itne hi paise hai. In paiso se ye gudiya kharidi nahi jaa sakti kya ? Dukhandar bola nahi. Fie wo ladka dukhi hoke piche muda our us admi se pucha uncle sach me ye paiso se gudiya nahi milegi ?vastav me paise bahut kam the. So us admine kaha nahi beta tumahre paas paryapt paise nahi hai. Ladka dukhi hoke age badhne laga. Fir us admine pucha tumhe wohi gudiya kyun chahiye beta ? Ladka bola : meri bahen ko gudiya bahut pasand hai. Ye gudiya mai meri bahen ko janam din par gift dena chahta hu. Me ye gudiya meri maa ko dunga taki wo jab meri behen ke pas jaye to wo use de degi. Admi ne pucha : tumhari behen kaha rahti hai ? Ladka : meri behen Bhagwan ke paas rehti hai. Our papa kehete hai bahut jald meri maa bhi bhagwan ke paas chali jaye gi. Us admi ke ankhome ansu aagaye lekin bacha bolte hi jaa rahatha. Me papa se kahunga maa our kuch din late kar ke jaye taki mai our paise jama kar saku. Our gudiya kharid saku. Us admi ka dil bhar gaya our usne apni pocket se 100 rs ka ek note nikal ke us bache ko kaha dikhao beta zara fir s tumhare paise ginenge sayad in pasiso se wo gudiay aajaye. Admine paise ginne ka bahana kiya our kaha are tumhare paas to bahu paise hai. Gudiya aajayega. Fir usne dukan dar ko 100 rs deke us bache ke liye wo gudiya khareed diya. Bachha thanx bola our kaha meri maa ko safed gulab bhi bahut pasand hai .
Our wo apni pocket se ek photo nikala our kaha ye mera photo hai. Sachmuch bacha photo me bahut sundar lag rahatha. Bachha bola mai ye photo apni maa ko dunga taki wo meri behen ko de degi .our meri behen ye photo dekh ke mujhe humesha yaad karegi. Admi ke ankho se ansu aagaye bt wo apne apko sambhalte huye us bache ko vidai diya our kaha beta apna khyal rakhna. Fir admi apne ghar chala gaya. Lekin us admiko raat bhar neend nahi huyi. Fir achhanak use yaad aya 5 din pahle news paper me chhapi thi ek daaru ke nashe me dhut ladke ne car chalate huye ek scooter wale ko udadiya. Jaha mouke par hi scooter wale ki chhoti ladki ka death ho gaya our wife ko gahri chot aayi hai. Usne socha kahi ye us bache ki maa bahen to nahi ? Ye sochte huye subah ho gayi our usne news papre me padha ki accedent me us aurat ka bhi death ho gaya hai. Admi sach janane keliye wo adress pe gaya to dekha sachmuch us bache ki maa mar gayi thi . Our uski lash ghar ke bahar rakha hua tha. Lash ke sine me wohi gudiya thi. Ek hath me Gulab ka phul our dusre hath me bache ka photo tha. Our dur kone me ladka apni ek rishte daar ke bahon me tha. Ye manjar dekh ke admi ke ankho se ansuon ka sailan toot pada. Wo apne apko rok nahi paya our khade khade rone laga. Ye kahani likhte wakht mere ankho me bhi aansu hai. Agar pake ankhe bhi ye padke gili hui ho to aj sapath karo Ki kabhi daaru pee ke gadi nahi chalaoge. Kabhi head phone laga ke bike nahi chalaoge. our kabhi phone me baat karte huye motorcycle nahi chalaoge. Dusro ki ya apni ho Zindegi anmol hai dosto. Usko nasha ya care less ho kar kabhi mat khona.
No comments:
Post a Comment